ku-e-jaanan mein aur kya mango haalat-e-haal yak sada mango har-nafas tum yaqin-e-munim se rizq apne guman ka mango hai agar wo bahut hi dil nazdik us se duri ka silsila mango dar-e-matlab hai kya talab-angez kuchh nahin wan so kuchh bhi ja mango gosha-e-gir-e-ghubar-e-zat hun mein mujh mein ho kar mera pata mango munkiran-e-khuda-e-bakhshinda us se to aur ek khuda mango us shikam-raqs-gar ke sail ho naf-pyale ki tum ata mango lakh janjal mangne mein hain kuchh na mango faqat dua mango