kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak sang sang milte hain waqt ke payambar tak kaam ki kharabi se nam dub jate hain galiyon ki zad mein hain qatilon ke khanjar tak intizar karte hain log kyon masiha ka fasla nazar ka hai zakhm-e-dil se nashtar tak tishnagi ka ruma hai ab unhin ke honton par jo sulagti raaton mein pi gae samundar tak jo ghataen bo kar bhi tishnagi ugata hai us ki na-muradi par hans diya muqaddar tak khud ko man lo yusuf is liye nahin hai ye aaine ki sidhi se pahunchiye sikandar tak un ke panw ke niche mah tut jata hai tum ki aa nahin sakte apne ghar ke 'akhtar' tak