kuche mein us ke bhid thi bazar ki tarah lalchai har nazar thi kharidar ki tarah us ka wajud ek paheli se kam nahin iqrar bhi wo karta hai inkar ki tarah dil ke siyah dagh na dhooge jab talak chhupte phiroge yunhi gunahgar ki tarah ek ajnabi ne aa ke faza ko badal diya basti pe chha gaya hai wo asrar ki tarah ye bhi 'rais' apne muqaddar ki baat hai milne ko wo mile bhi to aghyar ki tarah