kuchh aisa tha gumrahi ka saya apna hi pata na hum ne paya dil kis ke jamal mein hua gum aksar ye khayal hi na aaya hum to tere zikr ka hue juzw tu ne hamein kis tarah bhulaya ai dost teri nazar se mera aiwan-e-nigah jag muskaya khurshed usi ko hum ne jaana jo zarra zamin pe muskuraya maqsud thi tazgi chaman ki hum ne rag-e-jaan se khun bahaya uftad hai sab ki apni apni kis ne hai kisi ka gham bataya marumi-e-jawedan hai aur main main zauq-e-talab se baz aaya har gham pe hai mere nam ki mahr 'fitrat' koi gham nahin paraya