kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar ye lahr kahan jae samundar se nikal kar malum tha milna tera mumkin nahin lekin chaha tha tujhe main ne muqaddar se nikal kar aalam mein kai aur bhi aalam the so main ne dekha nahin is markaz o mahwar se nikal kar ab dekhiye kis shakhs ka ham-dosh bane wo jhonke ki tarah mere barabar se nikal kar khwahish hai ki khud ko bhi kabhi dur se dekhun manzar ka nazara karun manzar se nikal kar takta raha main us ki mubaraz-e-talbi ko wo mujh se lada tha mere lashkar se nikal kar