kuchh aur din abhi us ja qayam karna tha yahan charagh wahan par sitara dharna tha wo raat nind ki dahliz par tamam hui abhi to khwab pe ek aur khwab dharna tha mata-e-chashm-e-tamanna ye ashk aur ye khak rag-e-khayal se is ko tulua karna tha nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan tamam hoti hui shab ke nam karna tha gurez karti hui mauj aab-e-sar par thi aur ek pal ke sire par mujhe thaharna tha