kuchh bhi kar lijiye wo waza badalne ke nahin yani hum karb-o-aziyyat se nikalne ke nahin hum bhale kucha-e-viran mein akele bhatken is zamane ki rawish par kabhi chalne ke nahin aaina hai hamein jab tak teri khandan surat hum kisi ranj ki taswir mein dhalne ke nahin han kabhi soz-e-darun un ko ghula de shayad warna nalon se hamare wo pighalne ke nahin ho chuke khak jo jal kar wo patange ai shama dusri bar tere shoale se jalne ke nahin sehn-e-dil mein jo lagae the tamanna ke shajar aisa lagta hai wo imsal bhi phalne ke nahin jab talak manzil-e-ulfat pe nazar hai 'kashif' panw apne kisi tile se phisalne ke nahin