kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun zindagi mein pinhan hai ek chubhan na jaane kyun aur bhi bahut se hain lutne ko duniya mein ban gae hain rahbar hi rah zan na jaane kyun un ki fikr-e-ala par log sar ko dhunte the aaj wo pareshan hain ahl-e-fan na jaane kyun jis chaman mein sadiyon se tha bahaar ka qabza us mein hai khizaon ka ab chalan na jaane kyun jin gulon se kante khud dur bach ke rahte the chaak chaak hain un ke pairahan na jaane kyun ghair kuchh to karte hain pas aur lihaz apna aur dost hote hain khanda-zan na jaane kyun ghunche ghunche ke tewar gulsitan mein badle hain hum chaman mein rah kar hain be-chaman na jaane kyun jin ko apna samjhe the karte hain 'kanwal' hum se dosti ke parde mein makr o fan na jaane kyun