kuchh din tera khayal teri aarzu rahi phir sari umr apni hamein justuju rahi kya kya na khwab jagti aankhon mein the magar ai dil ki lahr raat kahan jaane tu rahi jao phir un ko ja ke samundar mein phenk do ab sachche motiyon ki kahan aabru rahi mud mud ke bar bar pukara use magar aawaz-e-bazgasht hi bas chaar su rahi halke se ek sukut ke parde ke bawajud us kam-sukhan se raat badi guftugu rahi munh mod ke wo hum se chala to gaya magar is ko bhi umr bhar khalish-e-lucknow rahi 'wali'! tumhein nawaz raha hai wo har tarah tum ko bhi us ki fikr wa-lekin kabhu rahi