kuchh gham nahin ki ghar ki ye angnai kam hui diwar khinchne se shanasai kam hui tujh se bichhad ke aaj bhi zinda to hain magar mahsus har qadam pe tawanai kam hui har manzar-e-hayat pe be-chehragi si hai tarikiyan badhi hain ki binai kam hui shanon pe aasman samundar hai panw mein unchaiyan ghati hain ki gahrai kam hui hum doston ki tarah rahe sath umr bhar ye bhi nahin ki marka-arai kam hui majburiyon ne maslahat-andesh kar diya ye kyon kahen ki hausla-afzai kam hui tanhaiyon mein sab the mere mo'tarif magar mahfil mein aa gaya to pazirai kam hui