kuchh gharaz hum ko nahin hai ki kahan le jae

kuchh gharaz hum ko nahin hai ki kahan le jae
chal diye bas dil-e-diwana jahan le jae

wo gali khuld se behtar hai bas itna sun kar
koi waqif ho to hum ko bhi wahan le jae

meri aawaz hui jati hai us ki aawaz
ab hai kya dur ki us tak ye fughan le jae

mauj-e-sarkash ko khabar-dar kiya tha hum ne
us ko jaana tha jahan ju-e-rawan le jae

gul nahin denge kabhi bulbul-e-muhtaj ko zar
khwah sarmaya ye sab baad-e-khizan le jae

ishq mein us ke bas ek jaan hai baqi ye bhi
dekhiye kab ghazab-e-ham-watanan le jae

meri baaten hi khush aati hain use jaise koi
kar ke aatish nazar-andaz dhuan le jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close