kuchh hasin yaaden bhi hain dida-e-nam ke sath sath zindagi mein husn bhi goya hai gham ke sath sath dil tere hamrah jata hai ki paya jata hai naqsh-e-dil mera tere naqsh-e-qadam ke sath sath us ke sae ki tarah dekha nahin us se juda hum ne to yazdan ko paya hai sanam ke sath sath taki hun donon ki lazzat se barabar mustafid wo karam farmate rahte hain sitam ke sath sath 'soz' un ki chah mein hum ne sada mahsus ki ek anjaani soz-e-gham ke sath sath