kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae

kuchh husn-e-wafa ke diwane phir ishq ki rah mein kaam aae
ai kash tamasha karne ko khud tu bhi kanar-e-baam aae

alfaz na the aawaz na thi nama bhi na tha qasid bhi na tha
aise bhi kai paigham gae aise bhi kai paigham aae

shab mai-khane ki mahfil mein arbab-e-jafa ka zikr chala
chup sunte rahe hum darte rahe tera bhi na un mein nam aae

hum garche falak-parwaz bhi hain aur taron ke hamraaz bhi hain
sayyaad pe aaya rahm hamein khud shauq se zer-e-dam aae

phir lala-o-gul ki nagri se ithlati hui aai hai saba
ai ahl-e-qafas chup-chap suno! phulon ke tumhein paigham aae

ye baat alag hai pas raha kuchh tishna-labi ki ghairat ka
hum par bhi raha saqi ka karam hum tak bhi bahut se jam aae

shab kitni bojhal bojhal hai hum tanha tanha baithe hain
aise mein tumhaari yaad aai jis tarah koi ilham aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close