kuchh is tarah se guzari hai zindagi main ne har ek sans ko samjha hai aakhiri main ne samajh gaya wahin raaz-e-visal jab dekha habab tera maal-e-shikastagi main ne karishma-e-mai-e-tauhid ai taal-allah surur hai mere saqi ko aur pi main ne laga ke un ki mohabbat mein jaan ki bazi tamam daulat-e-kaunain jit li main ne kisi ka raaz samajhta gaya jahan tak bhi samajh mein aaya ki samjha na kuchh abhi main ne ana zaban se na kahte na dar par khinchte kiya hai qahr ye mansur aap ki main ne hai mawara-e-sukhan 'barq' guftugu meri khamosh rah ke bhi akasr hai baat ki main ne