kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya meri taraf hi rukh-e-intiqam kar ke gaya jahan mein aaya tha insan mohabbaten karne jo kaam karna nahin tha wo kaam kar ke gaya asir hote gae ba-dil-e-na-khwasta log ghulam karna tha us ne ghulam kar ke gaya jo dard soe hue the wo ho gae bedar ye moajaza bhi mera khush-khiram kar ke gaya hai zindagi bhi wahi jo ho dusron ke liye wo mohtaram hua jo ehtiram kar ke gaya ye sarzamin hai jalal o jamal o azmat ki hai khush-nasib yahan jo qayam kar ke gaya hai kaun shair-e-khush-fikr kaun hai fankar ghazal bataegi is mein nam kar ke gaya asar hua na hua bazm par 'ali-yasir' kalam karna tha main ne kalam kar ke gaya