kuchh is tarah wo nigahen churae jate hain ki aur bhi mere nazdik aae jate hain is iltifat-e-gurezan ko nam kya dije jawab dete nahin muskurae jate hain nigah-e-lutf se dekho na ahl-e-dil ki taraf dilon ke raaz zabanon pe aae jate hain wo jin se tark-e-talluq ko ek zamana hua na jaane aaj wo kyun yaad aae jate hain tumhaari bazm ki kuchh aur baat hai warna hum aise log kahin bin bulae jate hain ye dil ke zakhm bhi kitne ajib hain ai shams' bahaar ho ki khizan muskurae jate hain