kuchh kam to hua ranj-e-farawan-e-tamanna aaghaz-e-junun go nahin payan-e-tamanna phir yas ne rakkha hai qadam khana-e-dil mein yani hai ab allah nigahban-e-tamanna go chaak hua dil magar arman na nikle be-faeda khola dar-e-zindan-e-tamanna afsana mera khwab-e-zulekha-e-mohabbat jalwa hai tera yusuf-e-kanan-e-tamanna juz wada-e-baatil nahin buniyaad kuchh us ki dil kanp utha dekh ke aiwan-e-tamanna ek jaan hai wo khair se warafta-e-gham hai ek dil hai so hai sokhta-saman-e-tamanna 'fani' ka dam ek din tere qadmon pe nikal jae dil ki ye tamanna hai ab ai jaan-e-tamanna