kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain

kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain
hum sath chale to hain magar hanp rahe hain

naron se siyasat ki haqiqat nahin chhupti
uryan hai badan lakh use dhanp rahe hain

kya baat hai shahron mein simat aae hain sare
jangal mein to ginti ke hi kuchh sanp rahe hain

makdi kahin makkhi ko giraftar na kar le
wo shokh-nigahon se mujhe bhanp rahe hain

ye jhut hai ya sach hai samajh mein nahin aata
sach bolne mein hont mere kanp rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close