kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte

kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte
milne ki kabhi khud se bhi zahmat nahin karte

is bar to raste bhi mujhe rok rahe hain
diwar-o-dar-o-baam hi ulfat nahin karte

bazar mein ab kaun kharidar hai apna
itni bhi ziyaada abhi qimat nahin karte

kya hoga sar-e-sham jo hum honge na ghar mein
ye soch ke hum shahr se hijrat nahin karte

kahte hain faqiron ki fazilat pe qasaed
hum aaj bhi hukkaam ki baiat nahin karte

sajdon ke ewaz khuld-e-barin mangne walo
kyun apne makanon ko hi jannat nahin karte

chhup jate hain aaghosh mein suraj ki hamesha
ye chand-sitare kabhi rehlat nahin karte

sukhe hue pedon pe koi phul nahin hai
kyun in se parinde bhi mohabbat nahin karte

diwar to uthti hui dekhenge gharon mein
wo log jo bachchon ko nasihat nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close