kuchh na kuchh ranj wo de jate hain aate jate

kuchh na kuchh ranj wo de jate hain aate jate
chhod jate hain shagufe koi jate jate

shauq ban ban ke mere dil mein hain aate jate
dard ban ban ke hain pahlu mein samate jate

khair se ghair ke ghar roz hain aate jate
aur qasmen bhi mere sar ki hain khate jate

hae milne se hai un ke mujhe jitna eraaz
wo usi darja nazar mein hain samate jate

nahin malum wahan dil mein irada kya hai
wo jo is darja hain ikhlas badhate jate

lo mere samne ghairon ke gile hote hain
lutf mein bhi to mujhi ko hain satate jate

aaj rukti hai mariz-e-gham-e-ulfat ko shifa
chaaragar dard bhi jaega to jate jate

yahi hamdam mujhe paigham-e-qaza dete hain
ye jo sine mein dam-e-chand hain aate jate

yun hi aakhir to hua nam aza ka badnam
aae the aa ke janaza bhi uthate jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close