kuchh na tere siwa sujhai de tu faqat chaar-su dikhai de dor-e-ulfat se bandh le ya to zulf-e-zanjir se rihai de zindagi us ke nam kar dunga dil talak wo agar rasai de moajiza koi aisa ho ya-rab roe dil jab use sunai de taj kase mein mere shah rakhen aisi malik mujhe gadai de dost hun main yaqin kar lunga bol kar jhut mat safai de baqi-manda teri main punji tha kho ke 'shaim' na ab duhai de