kuchh nahin aaftab rauzan hai

kuchh nahin aaftab rauzan hai
sath wala makan raushan hai

ye sitare chahakte hain kitne
aasman kya kisi ka aangan hai

chandni hai safir suraj ki
chand to zulmaton ka madfan hai

aag hai kohsar ke niche
barf to pairahan hai achkan hai

daimi zindagi ki hai zamin
ye fana jo baqa ki dushman hai

yaad tar-e-nafas pe chidiya hai
wahshaton ka shumar dhadkan hai

bhigta hun tumhaari yaadon mein
khat tumhaara mujhe to sawan hai

dekhta hun bichhadne walon ko
khwab goya ki durdarshan hai

nakhl-e-gul ho kisi ka mujh ko kya
mujh ko to khar-o-khas hi gulshan hai

tak raha hun jahan ko hairat se
mujh mein jaga ye kaisa bachpan hai

aap mujh ko hi dhundte honge
sab se patli meri hi gardan hai

hans diye meri baat sun kar wo
muskura kar kaha ki bachpan hai

'ahmad' apni misal aap hun main
han mera sher mera darpan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close