kuchh raat ki aahen hoti hain kuchh subh ke nale hote hain

kuchh raat ki aahen hoti hain kuchh subh ke nale hote hain
bimar-e-alam ko furqat ke bas yahi sanbhaale hote hain

jab dard jigar mein uthta hai ek hazz-e-wasl sa milta hai
furqat mein tadapte dil ke bhi andaz nirale hote hain

mil jati hai manzil bhi aksar rahon mein bhatakne walon ko
jo maut ki ghadiyan ginte hain un ke bhi sanbhaale hote hain

ek aisa zamana aata hai jab bigdi qismat banti hai
raaton ki siyahi se aage phir din ke ujale hote hain

jab zabt ki had ho jati hai tab ashk nikal hi jate hain
aakhir wo chhalak hi padte hain labrez jo pyale hote hain

jab fasl-e-gul aa jati hai wahshat bhi jawan ho jati hai
khilte hain chaman mein jitne gul wo panw mein chhaale hote hain

hote hain hasin shab ke manzar har roz kisi ki zulfon mein
us waqt ka aalam kya kahiye jab mang nikale hote hain

wo aankh ke khulte hi lekin hoti hain gareban mein apne
jo bahen un ki gardan mein hum khwab mein dale hote hain

aata hai mohabbat mein 'saqib' ek waqt bhi aisa insan par
marna bhi nahin hota aasan jine ke bhi lale hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close