kuchh sath diya mera dawa ne na dua ne By Ghazal << KHata anjam ho kar rah ga... aa tujhko KHayal mein bas... >> kuchh sath diya mera dawa ne na dua ne ab jaen kahan dhundne jine ke bahane farhad bhi waqif nahin ab koh-kani se be-kar hain farsuda mohabbat ke fasane is dida-e-pur-nam mein hai raqsan tera partaw mahtab lutata hai samundar pe khazane Share on: