kuchh shama se puchho na shab-e-tar se puchho

kuchh shama se puchho na shab-e-tar se puchho
kya hijr mein biti ye dil-e-zar se puchho

sausan se na kuchh nargis-e-bimar se puchho
taraji-e-gulshan ka sabab khar se puchho

zahmat na do aise mein na bimar se puchho
kya haal hai ye nabz ki raftar se puchho

kyun dast-e-hinai dil-azar se puchho
rang-e-gul-e-lala lab-o-rukhsar se puchho

yaro se karo mashwara aghyar se puchho
kab tak wo rahenge khiche talwar se puchho

kirdar se raftar se guftar se puchho
kya kaun hai ye us ki hi mear se puchho

dil se na ye qurbani-o-isar se puchho
aqdar-e-wafa husn ke bazar se puchho

mumkin nahin jo dil mein hai us ko na ugal de
dushman se bhi ek bar agar pyar se puchho

aaina-e-ehsas khad-o-khal hasin hain
tasir-e-wafa rang-e-rukh-e-yar se puchho

rah rah ke maze deti hai kya kya khalish-e-zakhm
ye dard-e-mohabbat ke kharidar se puchho

kah utthe anal-haq nahin har ek ka kaleja
is zarf ko ahl-e-rasan-o-dar se puchho

jannat ka jumud achchha hai ya kashmakash-e-ishq
ye jurm mohabbat ke gunahgar se puchho

kyun rang uda kaliyon ka kyun chup hain anadil
gulshan ke jagah-dar ke kirdar se puchho

kahte kise mehrab-e-haram kya hai mah-e-nau
us shokh ke ye abru-e-khamdar se puchho

lakhon ka lahu pi ke bhi be dard abhi tak
kyun khun ki pyasi hai ye talwar se puchho

zanjir-e-mohabbat ki asiri mein hai kya lutf
pech-o-kham-e-kakul ke giraftar se puchho

danista nahin bande se koi hui taqsir
phir kis liye bargashta hain sarkar se puchho

dil walon se bas puchho hai kya rishta-e-ulfat
tasbih se puchho na ye zunnar se puchho

ek us ke chale jaane se kya haal hai 'mahir'
hasrat-zada ghar ke dar-o-diwar se puchho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close