kuchh shokh hasinaon si rangin kitaben din-raat mujhe deti hain taskin kitaben insan hi tazlil kiya karta hai in ki karti nahin insan ki tauhin kitaben sikha hai faqat in se hi jine ka saliqa tahzib-o-tamaddun ki hain aain kitaben jab gham se main ghabra ke tadap jata hun aksar karti hain mujhe sabr ki talqin kitaben is nur se mamur azal se hun 'sharar' main iman kitaben hain mera din kitaben