kuchh soch ke izhaar-e-khayalat na karna har baat ko sunna wo tera baat na karna aisa na ho dar-asl tumhein apna samajh len is darja gharibon ki mudaraat na karna hai farq maraatib ke liye sara zamana maikhane mein tauhin-e-musawat na karna ek farz hai tazim-e-rawayat ba-har-taur ek farz hai tarmim-e-riwayat na karna paimana-ba-kaf jab ho jawani ki hikayat is bab mein sanjida sawalat na karna ek bar tawajjoh se koi baat to sun lo phir chahe kabhi hum se mulaqat na karna aasan hai jaan dena kisi baat pe 'nuri' dushwar hai izhaar-e-khayalat na karna