kuchh to gham-khana-e-hasti mein ujala hota chand chamka hai to ehsas bhi chamka hota aaina-khana-e-alam mein khada sochta hun main na hota to yahan kaun sa chehra hota khud bhi gum ho gae hum apni sadaon ki tarah dasht-e-furqat mein tujhe yun na pukara hota husn-e-izhaar ne ranai ata ki gham ko gul agar rang na hota to sharara hota hum bhi ehsas ki taswir bana sakte the kash hum pe kabhi izhaar ka dar wa hota fursat-e-shauq na di karb-e-wafa ne rona koi eajaz to hum ne bhi dikhaya hota hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota ek surat se hua naqsh-e-do-alam ko farogh aaina tut na jata to tamasha hota hum ne har khwab ko tabir ata ki 'aslam' warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota