kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi teri ulfat mein aziyyat hi sahi dard ko dard na jab tu samjhe bad-gumani teri aadat hi sahi dil-e-mahjur mein arman-e-visal na sahi did ki hasrat hi sahi but-kada chhodne wale to na the khair milti hai to jannat hi sahi dil ko tha khak mein milna so mila dekhne walon ko ibrat hi sahi is sitamgar ne kar li tauba ai falak han koi aafat hi sahi koi jalwa nazar aae shayad tiktiki bandhne ki aadat hi sahi hain kisi jalwe ki aankhen mushtaq kuchh kam-o-besh ye ghaflat hi sahi ishq ki bolti taswir hai 'shauq' dekhne walon ko hairat hi sahi