kuchh to taskin-e-iztirab mile wo nahin milte to sharab mile main samandar mein bhi raha pyasa aab mein bhi mujhe sarab mile munh lagi chhutti nahin wa'iz ab jo milna hai so 'azab mile chum lun main waraq waraq us ka tere chehre se jo kitab mile zindagi zindagi si lagti hai aap jab se hamein janab mile kaun ta'bir ki kare chinta phir se koi hasin khwab mile din 'ibaadat mein ho guzar yarab waqt-e-maghrib magar sharab mile ya-khuda dil mile shajar jaisa gham jo mujh ko hain be-hisab mile khul ke rona bhi kab nasib hua phir na ye hasti-e-habab mile dil ke nikle gharib sab ke sab hum ko jo sahab-e-nisab mile kuchh to pahle hi dar-ba-dar tha 'sada' dost bhi khanuman-kharab mile