kuchh to wufur-e-shauq mein bais-e-imtiyaz ho meri nazar ke samne un ki harim-e-naz ho soz-e-durun-o-ah-e-dil ishq mein donon ek hain hum ko to ek surur hai soz ho ya ki saz ho wo dil nazara-kosh tera ye zauq-e-be-khudi jalwe ki tab ho na ho un ki harim-e-naz ho naz hai shauq-e-afrin shauq hai shorish-e-dimagh husn hai aarzu-pasand ishq junun-nawaz ho zauq-e-talab ko ishq ne turfa sabaq ye de diya nala-e-dil-kharash ban aah-e-jigar-gudaz ho dil ki tadap mein ai khuda kuchh to ho zauq-e-afiyat dard wo de jo ishq mein bais-e-imtiyaz ho 'farhat'-e-arzu-pasand dars-e-niyaz-e-ishq ne kucha-e-marifat mein aa shefta majaz ho