kuchh tujh ko khabar hai hum kya kya ai shorish-e-dauran bhul gae wo zulf-e-pareshan bhul gae wo dida-e-giryan bhul gae ai shauq-e-nazara kya kahiye nazron mein koi surat hi nahin ai zauq-e-tasawwur kya kije hum surat-e-jaanan bhul gae ab gul se nazar milti hi nahin ab dil ki kali khilti hi nahin ai fasl-e-bahaaran rukhsat ho hum lutf-e-bahaaran bhul gae sab ka to mudawa kar dala apna hi mudawa kar na sake sab ke to gareban si dale apna hi gareban bhul gae ye apni wafa ka aalam hai ab un ki jafa ko kya kahiye ek nishtar zahr-agin rakh kar nazdik-e-rag-e-jaan bhul gae
Please share if you liked this!!!