kuchh TuTta hai andar bolo main kya karun ab

kuchh tutta hai andar bolo main kya karun ab
khamosh hai bawandar bolo main kya karun ab

hai ranjishon se bhigi ulfat ki chandni bhi
tha chand hi sitamgar bolo main kya karun ab

wo samne se chal kar guzri bahaar kab ki
kis samt hai muqaddar bolo main kya karun ab

main apni hasraton ka kyon ranj hi na badal dun
taswir ho jo behtar bolo main kya karun ab

kuchh aur hi hue hum khwabon se aa ke bahar
rukhsat hua fusun-gar bolo main kya karun ab

be-dard hai zamana anjaan aasman hai
dekho chhupe hain khanjar bolo main kya karun ab

phir aaj us ne mujh ko dekha hai muskura kar
hai hindisa muqarrar bolo main kya karun ab

shayad le raha hai mera imtihan qafas mein
har din ho jaise mahshar bolo main kya karun ab

hai aas-pas mere gulshan saja gulon se
chubhte hai lakh nashtar bolo main kya karun ab

kis ko bula raha hai ab intizar tera
tanha hai sara manzar bolo main kya karun ab

girti saba pe aa kar tark-e-wafa ki bijli
go khwab hain moattar bolo main kya karun ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close