kulah-e-kaj badal jati hai ya afsar badalta hai abhi khulta nahin kya waqt ka tewar badalta hai ye dekha hai ki mehwar istawa upar badalta hai falak sadiyon purani nilgun chadar badalta hai dilon mein soz-e-gham wale dhuen bhi aarzuen bhi ajam wala musalman har sadi mein ghar badalta hai nishan-karda gharon ko chhod bhage ghar jo laute hain to dekha pichhli shab dahliz ka number badalta hai har ek firaun ke ahwal-e-gharqabi judagana kabhi dariya badalta hai kabhi lashkar badalta hai zamana ehtiraman ghum jata hai usi jaanib jo achchhai ko ek insan ratti bhar badalta hai hum ab maghrib ke dast-amoz duniya ko nahin lagte ug aaen baal-o-par apne to baal-o-par badalta hai koi darwaza bhitar ki taraf khulta nahin 'ehsan' wahi andar ki kalak hai faqat bahar badalta hai