kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun

kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun
akasr ba-shakl-e-insan haiwan dekhta hun

khwabon ko, justuju ko, rakhna abhi safar mein
kuchh dur chal ke rahen aasan dekhta hun

raftar-e-waqt tu ne pai hai kaisi ujlat
jazbon mein asr-e-nau ke haijaan dekhta hun

aai hai khak-e-hasti uth kar kahan se apni
khwabon mein kuchh jazire anjaan dekhta hun

amn-o-aman ki baaten shayad hain sirf baaten
arz-e-khuda pe har din ghamsan dekhta hun

jab justuju na manzil aur khwab hain na arman
phir kis liye safar ka saman dekhta hun

tabdil ho gai hain aqdar-e-kohna yun bhi
ye kaenat sari hairan dekhta hun

meri nigah aakhir hassas kyun hai utni
main roz-o-shab badalte insan dekhta hun

deti hai jab bhi fursat kuchh gardish-e-zamana
rishton mein apni baqi pahchan dekhta hun

guzre the jis mein lamha bachpan ke qahqahon mein
khwabon mein wo haweli viran dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close