kya bataen fasl-e-be-khwabi yahan bota hai kaun jab dar-o-diwar jalte hon to phir hota hai kaun tum to kahte the ki sab qaidi rihai pa gae phir pas-e-diwar-e-zindan raat-bhar rota hai kaun bas teri bechaargi hum se nahin dekhi gai warna hath aai hui daulat ko yun khota hai kaun kaun ye patal se le kar ubharta hai mujhe itni tahdari se mujh par munkashif hota hai kaun koi be-tartibi-e-kirdar ki had hai 'salim' dastan kis ki hai zeb-e-dastan hota hai kaun