kya bataun mujhe kya lagta hai har-nafas tir-e-jafa lagta hai hun wo khuddar kisi se kya kahun sans lena bhi bura lagta hai phalte dekhi hai kahin shakh-e-sitam mere kahne ka bura lagta hai hadse bhi hain bade kaam ki chiz dost dushman ka pata lagta hai mera sar to kahin jhukta hi nahin tera naqsh-e-kaf-e-pa lagta hai kya kahun haalat-e-dil ai 'jarrar' dard kuchh aur siwa lagta hai