kya fasane mein mera nam kahin hota hai tere honton pe nahin hai to nahin hota hai tu jise dhundhta phirta hai zamane bhar mein apne dil mein tu zara jhank wahin hota hai kitne sada hain ye kashti ke musafir jin ko na-khudaon ki khudai pe yaqin hota hai tod kar band-e-qaba chaak-gareban ho kar rang wahshat ka meri aur hasin hota hai wo jatane ko ye aata hai ki main aata hun warna dhyan us ka sada aur kahin hota hai jabki baqi hai bahut us ki bulandi ka safar zikr insan ka sar-e-arsh-e-barin hota hai mat kaho us ko ziyan jis se khushi milti ho waqt aise kabhi zaea to nahin hota hai mai-kade mein hi milega tujhe tera 'adil' us ko jaana hai kidhar roz wahin hota hai