kya gham hai agar wo mera diwana nahin hai

kya gham hai agar wo mera diwana nahin hai
dil mera bhi aabaad hai virana nahin hai

patthar ko basaunga nahin is mein kabhi main
dil mera haram hai koi but-khana nahin hai

jhukta hai tu mahbub ki dahliz pe kyunkar
ye dar to mere sar dar-e-jaanana nahin hai

wo aah-o-fughan teri bhala kyon hi sunega
bismil tera andaz gharibana nahin hai

tu bol ki ho kaise khuda tujh se mukhatib
guftar teri tarz-e-kalimana nahin hai

wo shama kare fakhr bhala khud pe to kaise
dahliz pe jis ki koi parwana nahin hai

botal ko liye aur kahan phirta rahun main
saqi tere maikhane mein paimana nahin hai

khwabon mein 'zuhaib' aata hai mere wo barabar
aisa nahin us se mera yarana nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close