kya gharaz is se kisi ko kitna hai dil-gir kaun dekhna hai ye pahan kar mar gaya zanjir kaun log sharmate hain kyon sar par use rakhte hue le gaya hai chhin kar dastar ki tauqir kaun pet ki majburiyan fankar tak bhi aa gain warna dilbar ki bana kar bechta taswir kaun meri aankhon ke dariche khun mein tar ho gae khun mein tar khwab ki batlaega tabir kaun is farishton ke jahan mein sirf main insan hun hota phir mere alawa qail-e-taqsir kaun har kisi ko dastaras hai gardish-e-ayyam tak maut ke andhe safar ki khinchta taswir kaun kis ko fursat hai yahan khud-ehtisabi ke liye dekhta hai 'jaan' apni aankh ka shahtir kaun