kya haqiqat hai kya kahani hai mukhtasar apni zindagani hai tut kar bah rahi hain chattanen aaj gham mein badi rawani hai kash pardes se chale aao aaj ki shab badi suhani hai aaj tak intizar hai us ka ek ladki badi diwani hai aaj pahchanta nahin mujh ko main ne har baat jis ki mani hai tujh ko apna bana ke chhodungi ab yahi baat dil mein thani hai us ko pane ki aas mein 'nasrin' hum ne sahra ki khak chhani hai