kya hoga jab mar jaenge apne apne ghar jaenge baat ko poshida rahne de baat khuli to sar jaenge qatl kiye do-chaar to socha hum bhi tujh se dar jaenge chahne wale tere ek din chaukhat par sar dhar jaenge us ki jaanib jaane wale le kar jalte par jaenge sadiyan yaad karengi hum ko kaam aise kuchh kar jaenge ban jaenge yaad ka hissa jab hum tujh par mar jaenge jaisi pai hum ne tujh se chadar waisi dhar jaenge