kya jaane kahan bahr-e-ulfat ka kinara hai har mauj ke sine mein kashti ko utara hai ab aah ruke kyunkar ab ashk thamen kaise chalti hui aandhi hai bahta hua dhaara tufan tadabbur hai gahrai tadabbur ki main ne tah-e-dariya se sahil ko ubhaara hai parwane charaghon par girne lage masti mein ye mahfil-e-hasti mein kaun anjuman-ara hai sab saz ke hamil hain naghma ho ki nala ho nala bhi gawara kar naghma jo gawara hai 'makhmur' ko jine do aankhon hi se pine do ye baada-kash-e-ulfat nazron hi ka mara hai