kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak samjhe na ki sidhi hai meri rah kahan tak mantiq bhi to ek chiz hai ai qibla o kaba de sakti hai kaam aap ki wallah kahan tak aflak to is ahd mein sabit hue madum ab kya kahun jati hai meri aah kahan tak kuchh sanat o hirfat pe bhi lazim hai tawajjoh aakhir ye gowernment se tankhwah kahan tak marna bhi zaruri hai khuda bhi hai koi chiz ai hirs ke bando hawas-e-jah kahan tak tahsin ke laeq tera har sher hai 'akbar' ahbab karen bazm mein ab wah kahan tak