kya jurm hai ye haal to jaane KHuda-e-maut

kya jurm hai ye haal to jaane khuda-e-maut
har nafs ke liye hai magar yan saza-e-maut

kahti hai 'aql maut ye hai bahr-e-zindagi
wo zindagi ki jo nahin hogi bara-e-maut

duniya ki zindagi to hai ek juzw-e-maut hi
is ka natija ho nahin sakta siwae maut

sancha ye zindagi hai faqat ruh ke liye
jab dhal chuke to sanche ko jaez hai aae maut

kaisi dhali isi ka hai lazim hamein khayal
ne'mat banaen maut ko kyon ho jafa-e-maut

hota hai gham zarur magar kuchh hai maslahat
allah kar de tab' ko raaz-ashna-e-maut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close