kya kahen apni uski shab ki baat

kya kahen apni us ki shab ki baat
kahiye howe jo kuchh bhi dhab ki baat

ab to chup lag gai hai hairat se
phir khulegi zaban jab ki baat

nukta-danan-e-rafta ki na kaho
baat wo hai jo howe ab ki baat

kis ka ru-e-sukhan nahin hai udhar
hai nazar mein hamari sab ki baat

zulm hai qahr hai qayamat hai
ghusse mein us ke zer-e-lab ki baat

kahte hain aage tha buton mein rahm
hai khuda jaaniye ye kab ki baat

go ki aatish-zaban the aage 'mir'
ab ki kahiye gai wo tab ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close