kya kahun dil to giraftar-e-bala hai ab tak kaun dushman hai jo is ghar mein chhupa hai ab tak kis ko ilzam dun ai bakht-e-sitamgar tu bata phul de kar mujhe patthar hi mila hai ab tak band hai bab-e-ijabat to koi kya mange ek mera dast-e-dua hai ki utha hai ab tak kaun hun ye nahin malum magar hun maujud itni hi baat ka idrak hua hai ab tak khar to khar hai kyon us ko uthaya main ne apne hi dil ki murawwat se gila hai ab tak ho gae mujh se juda sare rafiqan-e-safar ek faqat dard hai pahlu se laga hai ab tak koi badla nahin is daur-e-khirad mein 'ahmad' ek main hun ki jise pas-e-wafa hai ab tak