kya kahun kaise iztirar mein hun main dhuan ho ke bhi hisar mein hun ab mujhe bolna nahin padta ab main har shakhs ki pukar mein hun jis ke aage hai aaina diwar main bhi kirnon ki us qatar mein hun aahaton ka asar nahin mujh par jaane main kis ke intizar mein hun parda-poshi teri mujhi se hai tere aanchal ke tar tar mein hun tang lagti hai ab wo aankh mujhe dafn jaise kisi mazar mein hun mujhe mein ek zalzala sa hai 'shahid' main kai din se intishaar mein hun