kya kahun ki kya hun main sang-e-be-sada hun main dard-e-la-dawa hun main aah-e-na-rasa hun main dard ki dawa hun mein pyar ki sada hun mein jis ki ibtida ho tum us ki intiha hun mein khud hi rah-rau bhi hun khud hi rahnuma hun main sochna fuzul hai phir bhi sochta hun main in pe hai nazar meri khud ko dekhta hun main jaane kya hua mujhe khud se bhi khafa hun main aao ai 'wali' dekho kaisa aaina hun main