kya kahun tujh se meri jaan main shab ka ahwal tujh pe raushan hai dil-e-wasl-talab ka ahwal hun main ek aashiq-e-be-bak o kharabaati o rind mujh se mat puchh mere ilm-o-adab ka ahwal dil ko khali karun ro ro ke magar main be-kas kaun sunta hai mere ranj-o-tab ka ahwal mahram-e-raaz nahin milta koi dard hai ye kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahwal lutf hai sab se sazawar-e-ghazab ek hun main khub dekha jo tere lutf o ghazab ka ahwal ai miyan aaj to do baat meri bhi sun le kaha chahun hun main tujh se bhala kab ka ahwal zor hai jaise ki nisbat namak o rish ke bich main hi samjhun teri kaifiyyat-e-lab ka ahwal nahin dam marne ki mujh ko tere aage majal hae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahwal kya koi khush ho mere sher ko sun ke 'hasrat' dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahwal